Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

Raaz Yazdani

is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

Raaz Yazdani

MORE BYRaaz Yazdani

    is dar rāhat bhī do aalam meñ kahīñ hai

    jiinā bhī yahīñ hai mujhe marnā bhī yahīñ hai

    ab vāqif-e-mafhūm-e-vafā qalb-e-hazīñ hai

    ab aap bedād bhī bedād nahīñ hai

    tum aur mirī ḳhāna-ḳharābī pe tabassum

    ummīd se baḌh kar abhī qadr-e-dil-o-dīñ hai

    tere sivā husn duniyā meñ nahīñ thā

    dekh rahā huuñ ki jo manzar hai hasīñ hai

    ye ziist hai maut samajh meñ nahīñ aatā

    ab dard hai aur dard taklīf nahīñ hai

    is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

    jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai

    ab waqif-e-mafhum-e-wafa qalb-e-hazin hai

    ab aap ki bedad bhi bedad nahin hai

    tum aur meri KHana-KHarabi pe tabassum

    ummid se baDh kar abhi qadr-e-dil-o-din hai

    ya tere siwa husn hi duniya mein nahin tha

    ya dekh raha hun ki jo manzar hai hasin hai

    ye zist hai ya maut samajh mein nahin aata

    ab dard hai aur dard ki taklif nahin hai

    Source:

    raaz (Pg. 9)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Naya Khwab, Rampur
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now