Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is dasht-e-halakat se guzar kaun karega

Partav Rohila

is dasht-e-halakat se guzar kaun karega

Partav Rohila

MORE BYPartav Rohila

    is dasht-e-halākat se guzar kaun karegā

    be-amn ḳharāboñ meñ safar kaun karegā

    ḳhurshīd jo Dūbeñge ubharne se pahle

    is tīrgī-e-shab sahar kaun karegā

    chhin jaa.eñ sar-e-rāh jahāñ chādareñ sar

    us zulm nagrī meñ basar kaun karegā

    jis daur meñ ho be-hunarī vaj.h-e-siyādat

    us daur meñ tash.hīr-e-hunar kaun karegā

    uḌ jā.eñge jañgal taraf saare parinde

    mīnāra-e-larzāñ pe basar kaun karegā

    is ḳhauf-e-musalsal meñ guzar hogī to kyūñkar

    suulī pe har ik raat basar kaun karegā

    muzhda mujhe jiine bhalā kis ne diyā thā

    mujh ko mire marne ḳhabar kaun karegā

    is dasht-e-halakat se guzar kaun karega

    be-amn KHarabon mein safar kaun karega

    KHurshid jo Dubenge ubharne hi se pahle

    is tirgi-e-shab ki sahar kaun karega

    chhin jaen sar-e-rah jahan chadaren sar ki

    us zulm ki nagri mein basar kaun karega

    jis daur mein ho be-hunari wajh-e-siyaadat

    us daur mein tashhir-e-hunar kaun karega

    uD jaenge jangal ki taraf sare parinde

    minara-e-larzan pe basar kaun karega

    is KHauf-e-musalsal mein guzar hogi to kyunkar

    suli pe har ek raat basar kaun karega

    muzhda mujhe jine ka bhala kis ne diya tha

    mujh ko mere marne ki KHabar kaun karega

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 366)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now