is daur mein bhi radd-e-shaqawat hun mere dost
is daur meñ bhī radd-e-shaqāvat huuñ mire dost
maiñ sayyad-o-sālār-e-baġhāvat huuñ mire dost
maqtal meñ bhī āvāza-e-haq detā rahā huuñ
neze pe bhī masrūf-e-tilāvat huuñ mire dost
be-laus huuñ maiñ qāsim-e-iḳhlās-o-vafā huuñ
yuuñ mauj-e-saḳhā bahr-e-saḳhāvat huuñ mire dost
maiñ guft-e-junūñ-sāz huuñ yā jazb-e-junūñ huuñ
yā dasht-navardoñ kī kahāvat huuñ mire dost
ik baar suno to sahī mujh shīrīñ-dahan ko
ras gholtī āvāz halāvat huuñ mire dost
jis chashm-e-gul-e-tar ne kiyā mujh ko namīda
us chashm-e-gul-e-tar kī tarāvat huuñ mire dost
sāzish kisī kiine kī panapne nahīñ dūñgā
tā-'umr yahāñ zidd-e-'adāvat huuñ mire dost
is shahr meñ sāñpoñ kā baserā hai so 'mīsam'
is shahr-e-balā-ḳhez se jāvat huuñ mire dost
is daur mein bhi radd-e-shaqawat hun mere dost
main sayyad-o-salar-e-baghawat hun mere dost
maqtal mein bhi aawaza-e-haq deta raha hun
neze pe bhi masruf-e-tilawat hun mere dost
be-laus hun main qasim-e-iKHlas-o-wafa hun
yun mauj-e-saKHa bahr-e-saKHawat hun mere dost
main guft-e-junun-saz hun ya jazb-e-junun hun
ya dasht-nawardon ki kahawat hun mere dost
ek bar suno to sahi mujh shirin-dahan ko
ras gholti aawaz halawat hun mere dost
jis chashm-e-gul-e-tar ne kiya mujh ko namida
us chashm-e-gul-e-tar ki tarawat hun mere dost
sazish kisi kine ki panapne nahin dunga
ta-'umr yahan zidd-e-'adawat hun mere dost
is shahr mein sanpon ka basera hai so 'misam'
is shahr-e-bala-KHez se jawat hun mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.