is daur mein bhi zalim-o-jabir ki tarah hain
is daur meñ bhī zālim-o-jābir kī tarah haiñ
kuchh log yahāñ shar ke 'anāsir kī tarah haiñ
kyā haal hai is shahr ke logoñ kā na pūchho
tapte hue sahrā ke musāfir kī tarah haiñ
kyā ham se ḳhatā ho ga.ī kyā jurm huā hai
kyoñ mulk meñ ham apne muhājir kī tarah haiñ
kal tak jo rahe zulm kī buniyād pe qaa.em
kuchh aise mahal aaj maqābir kī tarah haiñ
yādeñ bhī tirī dil meñ mire in dinoñ hamdam
haare hue lashkar ke manāzir kī tarah haiñ
ġham ho ki ḳhushī rakhtā huuñ siine se lagā kar
ye donoñ mire dil ke 'anāsir kī tarah haiñ
bas ek nazar meñ hī banā letī haiñ apnā
āñkheñ tirī bangāl ke sāhir kī tarah haiñ
ye aap kī marzī hai ki jo chāhe kareñ aap
duniyā meñ magar aap musāfir kī tarah haiñ
rishta ho koī us ko nibhāne meñ ai 'manzar'
is vaqt bhī ham apne akābir kī tarah haiñ
is daur mein bhi zalim-o-jabir ki tarah hain
kuchh log yahan shar ke 'anasir ki tarah hain
kya haal hai is shahr ke logon ka na puchho
tapte hue sahra ke musafir ki tarah hain
kya hum se KHata ho gai kya jurm hua hai
kyon mulk mein hum apne muhajir ki tarah hain
kal tak jo rahe zulm ki buniyaad pe qaem
kuchh aise mahal aaj maqabir ki tarah hain
yaaden bhi teri dil mein mere in dinon hamdam
haare hue lashkar ke manazir ki tarah hain
gham ho ki KHushi rakhta hun sine se laga kar
ye donon mere dil ke 'anasir ki tarah hain
bas ek nazar mein hi bana leti hain apna
aankhen teri bangal ke sahir ki tarah hain
ye aap ki marzi hai ki jo chahe karen aap
duniya mein magar aap musafir ki tarah hain
rishta ho koi us ko nibhane mein ai 'manzar'
is waqt bhi hum apne akabir ki tarah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.