Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is daur mein taufiq-e-ana di gai mujhko

Qateel Shifai

is daur mein taufiq-e-ana di gai mujhko

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    is daur meñ taufīq-e-anā ga.ī mujh ko

    kis jurm āḳhir ye sazā ga.ī mujh ko

    maiñ ne jo kiyā fasl-e-bahārāñ taqāzā

    ik phuul tasvīr dikhā ga.ī mujh ko

    ye kaun mire naam ko dohrā rahā hai

    shāyad kisī gumbad meñ sadā ga.ī mujh ko

    vo un milānā mujhe ik sāhab-e-zar se

    auqāt mirī yaad dilā ga.ī mujh ko

    pahle to navāzā gayā maiñ ḳhil.at-e-ġham se

    phir shahriyat-e-mulk-e-vafā ga.ī mujh ko

    hairat hai ki is baar buzurgoñ taraf se

    takmīl-e-mohabbat duā ga.ī mujh ko

    kuchh naama likhe the abhī mere qalam ne

    kāġhaz tarah aag lagā ga.ī mujh ko

    gum ho gayā mastī meñ taḌapne maza bhī

    kyā chiiz 'qatīl' aaj pilā ga.ī mujh ko

    is daur mein taufiq-e-ana di gai mujh ko

    kis jurm ki aaKHir ye saza di gai mujh ko

    main ne jo kiya fasl-e-bahaaran ka taqaza

    ek phul ki taswir dikha di gai mujh ko

    ye kaun mere nam ko dohra sa raha hai

    shayad kisi gumbad mein sada di gai mujh ko

    wo un ka milana mujhe ek sahab-e-zar se

    auqat meri yaad dila di gai mujh ko

    pahle to nawaza gaya main KHilat-e-gham se

    phir shahriyat-e-mulk-e-wafa di gai mujh ko

    hairat hai ki is bar buzurgon ki taraf se

    takmil-e-mohabbat ki dua di gai mujh ko

    kuchh nama likhe hi the abhi mere qalam ne

    kaghaz ki tarah aag laga di gai mujh ko

    gum ho gaya masti mein taDapne ka maza bhi

    kya chiz 'qatil' aaj pila di gai mujh ko

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 131)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now