Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is etibar se wo zud-ranj achchha hai

Rashid Murad

is etibar se wo zud-ranj achchha hai

Rashid Murad

MORE BYRashid Murad

    is e'tibār se vo zūd-ranj achchhā hai

    ḳhafā bhī ho to mire saath saath rahtā hai

    maiñ āftāb-e-badan qasīda likhtā huuñ

    vo merī ruuh ko poshāk-e-nūr detā hai

    asā-e-sabr se rasta banā liyā ham ne

    kabhī jo raah meñ dariyā-e-jabr aayā hai

    sar-e-nigāh bhī 'rāshid' dhanak dhanak paikar

    pas-e-sahāb bhī ik chāñd chāñd saayā hai

    is e'tibar se wo zud-ranj achchha hai

    KHafa bhi ho to mere sath sath rahta hai

    main aaftab-e-badan ka qasida likhta hun

    wo meri ruh ko poshak-e-nur deta hai

    asa-e-sabr se rasta bana liya hum ne

    kabhi jo rah mein dariya-e-jabr aaya hai

    sar-e-nigah bhi 'rashid' dhanak dhanak paikar

    pas-e-sahab bhi ek chand chand saya hai

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 404)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
    • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now