Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main

Munne Khan Azim

is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main

Munne Khan Azim

MORE BYMunne Khan Azim

    is gardish-e-mudām se ghabrā gayā huuñ maiñ

    raftār ek hai to uktā gayā huuñ maiñ

    har pal hujūm-e-yās paikar banā huā

    aksar is ek haal meñ dekhā gayā huuñ maiñ

    pazhmurda zindagī se to pīchhā chhuTe ki bas

    har din ḳhushī aas meñ martā gayā huuñ maiñ

    apnoñ ko apnā kahte hue aa.e sharm

    kis kis nazar se dosto dekhā gayā huuñ maiñ

    maiñ ne nadīm rakh to liyā husn bharam

    par ishq chitā meñ jalāyā gayā huuñ maiñ

    le kar uThā huuñ phir se maiñ ik aur azm-e-nau

    'āzim' ke naam se bhī to jaanā gayā huuñ maiñ

    is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main

    raftar ek si hai to ukta gaya hun main

    har pal hujum-e-yas ka paikar bana hua

    aksar is ek haal mein dekha gaya hun main

    pazhmurda zindagi se to pichha chhuTe ki bas

    har din KHushi ki aas mein marta gaya hun main

    apnon ko apna kahte hue aae sharm si

    kis kis nazar se dosto dekha gaya hun main

    main ne nadim rakh to liya husn ka bharam

    par ishq ki chita mein jalaya gaya hun main

    le kar uTha hun phir se main ek aur azm-e-nau

    'azim' ke nam se bhi to jaana gaya hun main

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 240)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now