Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is gulshan-e-pur-Khaar se manind-e-saba bhag

Mushafi Ghulam Hamdani

is gulshan-e-pur-Khaar se manind-e-saba bhag

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    is gulshan-e-pur-ḳhār se mānind-e-sabā bhaag

    vahshat yahī kahtī hai ki zanjīr tuḌā bhaag

    girte the ḳharīdār kab is tarah se us par

    paañv se tire lagte mehñdī ko lagā bhaag

    shoḳhī kahūñ kyā tere tasavvur ki he he

    shab sāmne aa kar mire aage se gayā bhaag

    jab kabk-e-darī dekhe hai raftār ko us

    kahtā hai yahī meñ ''ye raftār uḌā bhāg''

    zāhid jo huā kar ke vuzū hauz pe qaa.em

    ik rind ko sūjhī ki ab us ko girā bhaag

    Thahrā jo zarā bahr-e-mohabbat pe maiñ kar

    aa.ī lab-e-sāhil se yahī us ke sadā bhaag

    ai 'mus.hafī' hai mār-e-falak rahzan-e-mardum

    bhaag sake us se to az-bahr-e-ḳhudā bhaag

    is gulshan-e-pur-KHar se manind-e-saba bhag

    wahshat yahi kahti hai ki zanjir tuDa bhag

    girte the KHaridar kab is tarah se us par

    panw se tere lagte hi mehndi ko laga bhag

    shoKHi kahun kya tere tasawwur ki ki he he

    shab samne aa kar mere aage se gaya bhag

    jab kabk-e-dari dekhe hai raftar ko us ki

    kahta hai yahi ji mein ye raftar uDa bhag

    zahid jo hua kar ke wuzu hauz pe qaem

    ek rind ko sujhi ki tu ab us ko gira bhag

    Thahra jo zara bahr-e-mohabbat pe main ja kar

    aai lab-e-sahil se yahi us ke sada bhag

    ai 'mushafi' hai mar-e-falak rahzan-e-mardum

    tu bhag sake us se to az-bahr-e-KHuda bhag

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 136)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now