aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad

Subhan Asad

is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad

Subhan Asad

MORE BYSubhan Asad

    is ġham hai ki mujhe vahm huā hai shāyad

    koī pahlū meñ mire jaag rahā hai shāyad

    jāgte jāgte pichhlī ka.ī rāteñ guzrī

    chāñd honā mirī qismat meñ likhā hai shāyad

    dauḌ jā.ūñ har ik aahaT pe kivāḌoñ taraf

    aur phir ḳhud ko samjhā.ūñ havā hai shāyad

    us bātoñ se vo ab phuul nahīñ jhaḌte haiñ

    us ke hoñToñ pe abhī merā gila hai shāyad

    us ko kholūñ to rag-e-dil ko koī Dastā hai

    yaad gaThrī meñ ik saañp chhupā hai shāyad

    mujh ko har raah ujāloñ se bharī miltī hai

    ye un āñkhoñ ke charāġhoñ duā hai shāyad

    is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad

    koi pahlu mein mere jag raha hai shayad

    jagte jagte pichhli kai raaten guzri

    chand hona meri qismat mein likha hai shayad

    dauD jaun har ek aahaT pe kiwaDon ki taraf

    aur phir KHud ko hi samjhaun hawa hai shayad

    us ki baaton se wo ab phul nahin jhaDte hain

    us ke honTon pe abhi mera gila hai shayad

    us ko kholun to rag-e-dil ko koi Dasta hai

    yaad ki gaThri mein ek sanp chhupa hai shayad

    mujh ko har rah ujalon se bhari milti hai

    ye un aankhon ke charaghon ki dua hai shayad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now