Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai

Barqi Azmi

is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    is ke ghar se mere ghar tak ek kahānī biich meñ hai

    merī us rāhguzar tak ek kahānī biich meñ hai

    chappa chappa us galī rahā hai mere zer-e-qadam

    josh-e-junūñ se azm-e-safar tak ek kahānī biich meñ hai

    zulf-o-lab-o-ruḳhsār kisī hai merā mauzū-e-suḳhan

    tārīkī se nūr-e-nazar tak ek kahānī biich meñ hai

    ḳhūn-e-jigar shāmil hai merā is gulzār raunaq meñ

    sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahānī biich meñ hai

    kaun-o-makāñ har shai meñ haiñ fitrat ke asrār-o-rumūz

    bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahānī biich meñ hai

    maal bhī aksar ho jaatā hai jaan logoñ janjāl

    batn-e-sadaf se la.al-o-gohar tak ek kahānī biich meñ hai

    zid na karo tum sun na sakoge 'barqī' ye soz-e-darūñ

    tīr-e-nazar se zaḳhm-e-jigar tak ek kahānī biich meñ hai

    is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai

    meri us ki rahguzar tak ek kahani bich mein hai

    chappa chappa us ki gali ka raha hai mere zer-e-qadam

    josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahani bich mein hai

    zulf-o-lab-o-ruKHsar kisi ka hai mera mauzu-e-suKHan

    tariki se nur-e-nazar tak ek kahani bich mein hai

    KHun-e-jigar shamil hai mera is gulzar ki raunaq mein

    sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahani bich mein hai

    kaun-o-makan ki har shai mein hain fitrat ke asrar-o-rumuz

    bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahani bich mein hai

    mal bhi aksar ho jata hai jaan ka logon ki janjal

    batn-e-sadaf se lal-o-gohar tak ek kahani bich mein hai

    zid na karo tum sun na sakoge 'barqi' ka ye soz-e-darun

    tir-e-nazar se zaKHm-e-jigar tak ek kahani bich mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now