Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ke khilte hi har ek samt ujala hoga

Lokesh Kumar Singh

is ke khilte hi har ek samt ujala hoga

Lokesh Kumar Singh

MORE BYLokesh Kumar Singh

    is ke khilte har ik samt ujālā hogā

    ye tabassum hai ise dard ne paalā hogā

    jis ne bachpan se daulat chalan dekhā ho

    us andāz zamāna se nirālā hogā

    ham ko maujoñ se ulajhne hunar aatā hai

    ham ko mañjdhār ne ḳhush ho ke uchhālā hogā

    jis rāteñ hoñ kaTīñ barf ke sahrāoñ meñ

    us ke talvoñ meñ to ḳhvāboñ meñ bhī chhālā hogā

    jis har baat tujhe tiir chubh jaatī hai

    vo bahar-hāl tirā chāhne vaalā hogā

    to insān hai sandal koī peḌ nahīñ

    ne kis taur se sāñpoñ ko sañbhālā hogā

    jin ko aatā hai adab meñ bhī siyāsat karnā

    un ke kāñdhoñ pe resham dushāla hogā

    is ke khilte hi har ek samt ujala hoga

    ye tabassum hai ise dard ne pala hoga

    jis ne bachpan se hi daulat ka chalan dekha ho

    us ka andaz zamana se nirala hoga

    hum ko maujon se ulajhne ka hunar aata hai

    hum ko manjdhaar ne KHush ho ke uchhaala hoga

    jis ki raaten hon kaTin barf ke sahraon mein

    us ke talwon mein to KHwabon mein bhi chhaala hoga

    jis ki har baat tujhe tir si chubh jati hai

    wo bahar-haal tera chahne wala hoga

    tu to insan hai sandal ka koi peD nahin

    tu ne kis taur se sanpon ko sanbhaala hoga

    jin ko aata hai adab mein bhi siyasat karna

    un ke kandhon pe hi resham ka dushaala hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now