is liye kaTe gae hain baat ki talwar se
is liye kaaTe ga.e haiñ baat kī talvār se
ham ki marte hī kahāñ the dhaat kī talvār se
ye tire andar jo hai ik sar-phirā sā aadmī
maar Daalā jā.egā ḳhairāt kī talvār se
aap kā lashkar mubārak aap ko 'ālam-panāh
jang jiitī jā.egī hālāt kī talvār se
mustaqil ārām ne 'ashfāq' maarā hai hameñ
aur ham Darte rahe ḳhadshāt kī talvār se
is liye kaTe gae hain baat ki talwar se
hum ki marte hi kahan the dhat ki talwar se
ye tere andar jo hai ek sar-phira sa aadmi
mar Dala jaega KHairaat ki talwar se
aap ka lashkar mubarak aap ko 'alam-panah
jang jiti jaegi haalat ki talwar se
mustaqil aaram ne 'ashfaq' mara hai hamein
aur hum Darte rahe KHadshat ki talwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.