Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isMein kya jurm kya KHata sahab

Ali Fraz Rezvi

isMein kya jurm kya KHata sahab

Ali Fraz Rezvi

MORE BYAli Fraz Rezvi

    is meñ kyā jurm kyā ḳhatā sāhab

    dil to Thahrā bevafā sāhab

    phir kisī dūsre sajda ho

    phir nayā ho koī ḳhudā sāhab

    jo hameñ yaad nahīñ the kabhī

    kyā bhalā un ko bhūlnā sāhab

    vo bhī merī tarah bhulā Dāleñ

    kyā kaheñ kuchh kabhī huā sāhab

    dil taḌaptā nahīñ hai un ke liye

    kar chuke sab davā duā sāhab

    hai ye mash.hūr apne baare meñ

    vo kisī na ho sakā sāhab

    ham pe tohmat ki kar diyā badnām

    is qadar jhuuT intihā sāhab

    zikr aksar kiyā hai ishq par

    naam kis kabhī liyā sāhab

    is mein kya jurm kya KHata sahab

    dil to Thahra hi bewafa sahab

    phir kisi dusre ka sajda ho

    phir naya ho koi KHuda sahab

    jo hamein yaad hi nahin the kabhi

    kya bhala un ko bhulna sahab

    wo bhi meri tarah bhula Dalen

    kya kahen kuchh kabhi hua sahab

    dil taDapta nahin hai un ke liye

    kar chuke sab dawa dua sahab

    hai ye mashhur apne bare mein

    wo kisi ka na ho saka sahab

    hum pe tohmat ki kar diya badnam

    is qadar jhuT intiha sahab

    zikr aksar kiya hai ishq ka par

    nam kis ka kabhi liya sahab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now