Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain

Mushafi Ghulam Hamdani

is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    is nāznīñ bāteñ kyā pyārī pyāriyāñ haiñ

    palkeñ haiñ jis chhuriyāñ āñkheñ kaTāriyāñ haiñ

    is baat par bhalā ham kyūñkar na zahr khāveñ

    ham se vahī rukāvaT ġhairoñ se yāriyāñ haiñ

    Tuk safha-e-zamīñ ke ḳhāke pe ġhaur kar

    sān.e.a ne is pe kyā kyā shakleñ utāriyāñ haiñ

    dil tapish apnī aalam kuchh judā hai

    sīmāb o barq meñ kab ye be-qarāriyāñ haiñ

    un mahmaloñ pe aave majnūñ ko kyuuñ na hasrat

    jin mahmaloñ ke andar do do svāriyāñ haiñ

    jaagā hai raat pyāre kis ke ghar jo terī

    palkeñ nadīdiyāñ haiñ āñkheñ ḳhumāriyāñ haiñ

    naumīd haiñ ba-zāhir go vasl se ham us ke

    dil meñ to sau tarah ummidvāriyāñ haiñ

    kyā pūchhtā hai hamdam ahvāl 'mus.hafī'

    rāteñ añdheriyāñ aur aḳhtar-shumāriyāñ haiñ

    is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain

    palken hain jis ki chhuriyan aankhen kaTariyan hain

    is baat par bhala hum kyunkar na zahr khawen

    hum se wahi rukawaT ghairon se yariyan hain

    Tuk safha-e-zamin ke KHake pe ghaur kar tu

    sanea ne is pe kya kya shaklen utariyan hain

    dil ki tapish ka apni aalam hi kuchh juda hai

    simab o barq mein kab ye be-qarariyan hain

    un mahmalon pe aawe majnun ko kyun na hasrat

    jin mahmalon ke andar do do swariyan hain

    jaga hai raat pyare tu kis ke ghar jo teri

    palken nadidiyan hain aankhen KHumariyan hain

    naumid hain ba-zahir go wasl se hum us ke

    dil mein to sau tarah ki ummidwariyan hain

    kya puchhta hai hamdam ahwal 'mushafi' ka

    raaten andheriyan aur aKHtar-shumariyan hain

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 155)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now