is qadar aandhiyon se Darta hai
is qadar āñdhiyoñ se Dartā hai
vo qafas meñ uḌaan bhartā hai
us se kuchh bhī nahīñ chhupāte ham
vo hamārā 'ilāj kartā hai
koī to peḌ kī jaḌoñ meñ hai
jo phaloñ meñ miThās bhartā hai
ḳhatm ye zindagī nahīñ hotī
aadmī tā-hayāt martā hai
laakh ziine banāo lekin chāñd
TuuTī chhat par nahīñ utartā hai
itne taare kahāñ se aate haiñ
āsmāñ par ye kyā bikhartā hai
roz batlātā huuñ charāġhoñ ko
kitnī mushkil se din guzartā hai
taan rakkhī hai is tarah gardan
jaise ham se bhī koī Dartā hai
is qadar aandhiyon se Darta hai
wo qafas mein uDan bharta hai
us se kuchh bhi nahin chhupate hum
wo hamara 'ilaj karta hai
koi to peD ki jaDon mein hai
jo phalon mein miThas bharta hai
KHatm ye zindagi nahin hoti
aadmi ta-hayat marta hai
lakh zine banao lekin chand
TuTi chhat par nahin utarta hai
itne tare kahan se aate hain
aasman par ye kya bikharta hai
roz batlata hun charaghon ko
kitni mushkil se din guzarta hai
tan rakkhi hai is tarah gardan
jaise hum se bhi koi Darta hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 66)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.