Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar afsurdagi mahsus ki

Waseem Tashif

is qadar afsurdagi mahsus ki

Waseem Tashif

MORE BYWaseem Tashif

    is qadar afsurdagī mahsūs

    maiñ ne jab us kamī mahsūs

    raat meñ soyā thā dariyā ke qarīb

    ḳhvāb meñ ik jal-parī mahsūs

    us ke aane yaqīñ baḌhne lagā

    farsh-e-dil par ghaas ugī mahsūs

    aaj phir vo dar khulā thā dhyān meñ

    aur ik dīvār mahsūs

    vaqt karne lage ham ehtirām

    har mohabbat āḳhirī mahsūs

    maut jis din chhū ke guzrī thī mujhe

    maiñ ne us din zindagī mahsūs

    aaj maañ ghar pe nahīñ thī aur phir

    ham ne kitnī be-gharī mahsūs

    vaqt us ne mujh se pūchhā thā 'vasīm'

    sab ne hāthoñ meñ ghaḌī mahsūs

    is qadar afsurdagi mahsus ki

    main ne jab us ki kami mahsus ki

    raat mein soya tha dariya ke qarib

    KHwab mein ek jal-pari mahsus ki

    us ke aane ka yaqin baDhne laga

    farsh-e-dil par ghas ugi mahsus ki

    aaj phir wo dar khula tha dhyan mein

    aur ek diwar si mahsus ki

    waqt ka karne lage hum ehtiram

    har mohabbat aaKHiri mahsus ki

    maut jis din chhu ke guzri thi mujhe

    main ne us din zindagi mahsus ki

    aaj man ghar pe nahin thi aur phir

    hum ne kitni be-ghari mahsus ki

    waqt us ne mujh se puchha tha 'wasim'

    sab ne hathon mein ghaDi mahsus ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now