is qadar be-KHabar chala jae
is qadar be-ḳhabar chalā jaa.e
paañv rah jaa.eñ sar chalā jaa.e
vo jo baiThā hai merī rāhoñ meñ
us se kah do ki ghar chalā jaa.e
koī tā'vīz aisā de murshid
jis se andar kā Dar chalā jaa.e
yā to merā rahe vo sau fīsad
yā mujhe chhoḌ kar chalā jaa.e
'umr aise guzār dī jaise
niiñd meñ raat bhar chalā jaa.e
ḳhālī kāġhaz hī bhej do 'fahmī'
ye na ho nāma-bar chalā jaa.e
is qadar be-KHabar chala jae
panw rah jaen sar chala jae
wo jo baiTha hai meri rahon mein
us se kah do ki ghar chala jae
koi ta'wiz aisa de murshid
jis se andar ka Dar chala jae
ya to mera rahe wo sau fisad
ya mujhe chhoD kar chala jae
'umr aise guzar di jaise
nind mein raat bhar chala jae
KHali kaghaz hi bhej do 'fahmi'
ye na ho nama-bar chala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.