aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

Iftikhar Naseem

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    is qadar bhī to na jazbāt pe qaabū rakkho

    thak ga.e ho to mire kāñdhe pe baazū rakkho

    bhūlne paa.e na is dasht vahshat dil se

    shahr ke biich raho baaġh meñ aahū rakkho

    ḳhushk ho jā.egī rote hue sahrā tarah

    kuchh bachā kar bhī to is aañkh meñ aañsū rakkho

    raushnī hogī to aa jā.egā rah-rav dil

    us yādoñ ke diye taaq meñ har-sū rakkho

    yaad aa.egī tumhārī safar meñ us ko

    us ke rūmāl meñ ik achchhī ḳhushbū rakkho

    ab vo mahbūb nahīñ apnā magar dost to hai

    us se ye ek ta.alluq bahar-sū rakkho

    is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

    thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho

    bhulne pae na is dasht ki wahshat dil se

    shahr ke bich raho bagh mein aahu rakkho

    KHushk ho jaegi rote hue sahra ki tarah

    kuchh bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakkho

    raushni hogi to aa jaega rah-raw dil ka

    us ki yaadon ke diye taq mein har-su rakkho

    yaad aaegi tumhaari hi safar mein us ko

    us ke rumal mein ek achchhi si KHushbu rakkho

    ab wo mahbub nahin apna magar dost to hai

    us se ye ek talluq hi bahar-su rakkho

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.02.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now