Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum

Ashfaq Amir

is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum

Ashfaq Amir

MORE BYAshfaq Amir

    is qadar mahv haiñ kār-e-chaman-ārā.ī meñ ham

    dil dhaḌkan bhī nahīñ sunte haiñ tanhā.ī meñ ham

    DhūñDte phirte haiñ ab apne ta.alluq sabab

    duur tak bikhre hue rāh-e-shanāsā.ī meñ ham

    shaam dhund meñ karte haiñ tasavvur us

    aur phir sarf bhī hote haiñ pazīrā.ī meñ ham

    dil tanhā.ī se ghabrā ke nikal aate haiñ

    varna rahte haiñ isī dasht pahnā.ī meñ ham

    sher ke motī uThā laa.e haiñ tah se 'āmir'

    duur tak utre the is bahr gahrā.ī meñ ham

    is qadar mahw hain kar-e-chaman-arai mein hum

    dil ki dhaDkan bhi nahin sunte hain tanhai mein hum

    DhunDte phirte hain ab apne talluq ka sabab

    dur tak bikhre hue rah-e-shanasai mein hum

    sham ki dhund mein karte hain tasawwur us ka

    aur phir sarf bhi hote hain pazirai mein hum

    dil ki tanhai se ghabra ke nikal aate hain

    warna rahte hain isi dasht ki pahnai mein hum

    sher ke moti uTha lae hain tah se 'amir'

    dur tak utre the is bahr ki gahrai mein hum

    Source:

    رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 32)

    • Author: اشفاق عامر
      • Publisher: عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now