Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar mashghul the ek ru-e-taban ki taraf

Abdul Mannan Samadi

is qadar mashghul the ek ru-e-taban ki taraf

Abdul Mannan Samadi

MORE BYAbdul Mannan Samadi

    is qadar mashġhūl the ik rū-e-tābāñ taraf

    ham ne dekhā nahīñ is chāk-e-dāmāñ taraf

    jab muqaddar meñ añdherā likh diyā ne ḳhudā

    kaun dekhegā batā sham-e-farozāñ taraf

    ham bhī terī mohabbat meñ yahāñ tak aa.e haiñ

    aur terī sab tavajjoh ek mehmāñ taraf

    phir huā yuuñ ham ne us se pher nazreñ tamām

    kab talak ham dekhte us āfat-e-jāñ taraf

    un har ik baat aisā asar mujh par huā

    ruk ga.iiñ nazreñ mirī shahr-e-nigārāñ taraf

    is qadar mashghul the ek ru-e-taban ki taraf

    hum ne dekha hi nahin is chaak-e-daman ki taraf

    jab muqaddar mein andhera likh diya tu ne KHuda

    kaun dekhega bata sham-e-farozan ki taraf

    hum bhi teri hi mohabbat mein yahan tak aae hain

    aur teri sab tawajjoh ek mehman ki taraf

    phir hua yun hum ne us se pher li nazren tamam

    kab talak hum dekhte us aafat-e-jaan ki taraf

    un ki har ek baat ka aisa asar mujh par hua

    ruk gain nazren meri shahr-e-nigaran ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now