Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar ruswaiyon ki garm-bazari na thi

Nasr Ghazali

is qadar ruswaiyon ki garm-bazari na thi

Nasr Ghazali

MORE BYNasr Ghazali

    is qadar rusvā.iyoñ garm-bāzārī na thī

    thī anā paspā magar aisī bhī paspā.ī na thī

    thī magar mahrūmiyoñ ye farāvānī na thī

    aarzū kachchī kaliyoñ ye pāmālī na thī

    maiñ bhī āġhāz-e-safar meñ tum se kuchh kam ḳhush na thā

    ye hai anjām-e-safar mujh ko bhī āgāhī na thī

    thī abhī merī palak jhapke pe dekhā aur

    zindagī kal bhī thī lekin itnī harjā.ī na thī

    tap rahā thā kis qadar pūchho na barfīlā badan

    aag ke andar bhī shāyad aisī chingārī na thī

    dil se āñkhoñ tak vahī be-manzarī silsila

    laal piile hare garche nāyābī na thī

    band kamra pur-sukūñ māhaul sākit bām-o-dar

    is qadar shāyad hasīñ pahle ye tanhā.ī na thī

    is qadar ruswaiyon ki garm-bazari na thi

    thi ana paspa magar aisi bhi paspai na thi

    thi magar mahrumiyon ki ye farawani na thi

    aarzu ki kachchi kaliyon ki ye pamali na thi

    main bhi aaghaz-e-safar mein tum se kuchh kam KHush na tha

    ye hai anjam-e-safar mujh ko bhi aagahi na thi

    thi abhi meri palak jhapke pe dekha aur ki

    zindagi kal bhi thi lekin itni harjai na thi

    tap raha tha kis qadar puchho na barfila badan

    aag ke andar bhi shayad aisi chingari na thi

    dil se aankhon tak wahi be-manzari ka silsila

    lal pile ki hare ki garche nayabi na thi

    band kamra pur-sukun mahaul sakit baam-o-dar

    is qadar shayad hasin pahle ye tanhai na thi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now