Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua

Syed Mujeebul Hasan

is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua

Syed Mujeebul Hasan

MORE BYSyed Mujeebul Hasan

    is samt to māhaul hai pahle se bigḌā huā

    ai ātishīñ tūfān terā kyoñ idhar aanā huā

    va.ada thā us vo na aayā haañ magar aisā huā

    ik phuul sāhil par nazar aayā mujhe rakkhā huā

    kis ne qadam rakkhe yahāñ kis idhar pherā huā

    ḳhushbū se kis ke jism ghar hai mirā mahkā huā

    ik abr ke TukḌe ne mere sar pe khīñchā sā.ebāñ

    jab dhuup ke saffāk sahrā se guzar merā huā

    kāñToñ sūrat phuul bhī piite haiñ is jānib lahū

    koī nahīñ hai saath mere ye bahut achchhā huā

    ḳhālī paḌā hai ik zamāne se ye ghar lekin mujhe

    mahsūs hotā hai darīche meñ koī baiThā huā

    paanī ik qatra na thā maujeñ na thiiñ sāhil na thā

    dekhā hai maiñ ne dasht meñ dariyā ajab bahtā huā

    kal mere kamre meñ koī thā aur bhī mere sivā

    maiñ ne jo pūchhā kaun hai pur-shor sannāTā huā

    ye dekhtā maiñ aa rahā huuñ ek muddat se 'mujīb'

    āvāz jab maiñ ne lagā.ī band darvāza huā

    is samt to mahaul hai pahle se hi bigDa hua

    ai aatishin tufan tera kyon idhar aana hua

    wada tha us ka wo na aaya han magar aisa hua

    ek phul sahil par nazar aaya mujhe rakkha hua

    kis ne qadam rakkhe yahan kis ka idhar phera hua

    KHushbu se kis ke jism ki ghar hai mera mahka hua

    ek abr ke TukDe ne mere sar pe khincha saeban

    jab dhup ke saffak sahra se guzar mera hua

    kanTon ki surat phul bhi pite hain is jaanib lahu

    koi nahin hai sath mere ye bahut achchha hua

    KHali paDa hai ek zamane se ye ghar lekin mujhe

    mahsus hota hai dariche mein koi baiTha hua

    pani ka ek qatra na tha maujen na thin sahil na tha

    dekha hai main ne dasht mein dariya ajab bahta hua

    kal mere kamre mein koi tha aur bhi mere siwa

    main ne jo puchha kaun hai pur-shor sannaTa hua

    ye dekhta main aa raha hun ek muddat se 'mujib'

    aawaz jab main ne lagai band darwaza hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now