Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen

Abdul Hameed Saqi

is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen

Abdul Hameed Saqi

MORE BYAbdul Hameed Saqi

    is se pahle ki hameñ ahl-e-jafā rusvā kareñ

    apnī jaañ de kar vafā karne ham va.ada kareñ

    aao shabnam tarah ban jaa.eñ taqdīr-e-chaman

    kyuuñ kalī ban kar khileñ aur khil ke murjhāyā kareñ

    gulshan-e-hastī meñ ham sāvan ke bādal tarah

    jhuum kar uTThā kareñ aur TuuT kar barsā kareñ

    ḳhāka-e-ulfat meñ ḳhuuñ bharnā thā ham ne bhar diyā

    log ham ko bā-vafā be-vafā samjhā kareñ

    apnī āñkhoñ samundar bah ke to ḳhāmosh hai

    dil ke andar sulagtī aag ko ham kyā kareñ

    ek chullū hai kaafī ahl-e-ġhairat ke liye

    Duub marne ke liye kyuuñ ḳhvāhish-e-dariyā kareñ

    kho ke kyā paayā hai ham ne ke kyā kuchh kho diyā

    aa.ine meñ vaqt ke saaqī ye andāza kareñ

    is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen

    apni jaan de kar wafa karne ka hum wada karen

    aao shabnam ki tarah ban jaen taqdir-e-chaman

    kyun kali ban kar khilen aur khil ke murjhaya karen

    gulshan-e-hasti mein hum sawan ke baadal ki tarah

    jhum kar uTTha karen aur TuT kar barsa karen

    KHaka-e-ulfat mein KHun bharna tha hum ne bhar diya

    log hum ko ba-wafa ya be-wafa samjha karen

    apni aankhon ka samundar bah ke to KHamosh hai

    dil ke andar ki sulagti aag ko hum kya karen

    ek hi chullu hai kafi ahl-e-ghairat ke liye

    Dub marne ke liye kyun KHwahish-e-dariya karen

    kho ke kya paya hai hum ne pa ke kya kuchh kho diya

    aaine mein waqt ke saqi ye andaza karen

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 712)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now