Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le

G. R. Vashishth

is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le

G. R. Vashishth

MORE BYG. R. Vashishth

    is se pahle ki sahāroñ ko aadat kar le

    dil baġhair us ke sambhalne bhī himmat kar le

    fan-e-yakjā.ī māhir koī aa.e tab tak

    hai koī jo mire TukḌoñ hifāzat kar le

    kitnā saada hai is meñ bhī razā chāhtā hai

    mujh ko barbād karegā hai ijāzat kar le

    niiñd ne maan liyā jo mirī āñkhoñ ke ḳhilāf

    tere ḳhvāboñ ne kahā thā ki baġhāvat kar le

    kitnā āsāñ hai hunar aañkh dushvārī

    zindagī bhar jise ronā ho mohabbat kar le

    is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le

    dil baghair us ke sambhalne ki bhi himmat kar le

    fan-e-yakjai ka mahir koi aae tab tak

    hai koi jo mere TukDon ki hifazat kar le

    kitna sada hai tu is mein bhi raza chahta hai

    mujh ko barbaad karega hai ijazat kar le

    nind ne man liya jo meri aankhon ke KHilaf

    tere KHwabon ne kaha tha ki baghawat kar le

    kitna aasan hai hunar aankh ki dushwari ka

    zindagi bhar jise rona ho mohabbat kar le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now