Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is shahr-e-be-niyaz ke logon ki KHu na puchh

Nasir Nizami

is shahr-e-be-niyaz ke logon ki KHu na puchh

Nasir Nizami

MORE BYNasir Nizami

    is shahr-e-be-niyāz ke logoñ ḳhū na pūchh

    kis kis adā se karte haiñ dil lahū na pūchh

    ahl-e-vafā karte haiñ kyā kyā ye ḳhātireñ

    ḳhud mil ke un ko dekh kabhī mujh se na pūchh

    lagtī haiñ har galī meñ mohabbat boliyāñ

    biktī yahāñ hai jins-e-vafā kū-ba-kū na pūchh

    ik aan meñ dil jazīra jhulas gayā

    shahr-e-badan meñ aisī chalī ġham lau na pūchh

    āb-e-hayāt se bhī kaḌā hai tirā husūl

    maiñ phir bhī terī kartā huuñ kyoñ justujū na pūchh

    'nāsir' tumhārī zaat ḳhātir jahān meñ

    kis kis ko maiñ ne apnā kiyā hai adū na pūchh

    is shahr-e-be-niyaz ke logon ki KHu na puchh

    kis kis ada se karte hain dil ka lahu na puchh

    ahl-e-wafa ki karte hain kya kya ye KHatiren

    KHud mil ke un ko dekh kabhi mujh se tu na puchh

    lagti hain har gali mein mohabbat ki boliyan

    bikti yahan hai jins-e-wafa ku-ba-ku na puchh

    ek aan mein hi dil ka jazira jhulas gaya

    shahr-e-badan mein aisi chali gham ki lau na puchh

    aab-e-hayat se bhi kaDa hai tera husul

    main phir bhi teri karta hun kyon justuju na puchh

    'nasir' tumhaari zat ki KHatir jahan mein

    kis kis ko main ne apna kiya hai adu na puchh

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 614)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now