Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna

Ishrat Afreen

is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    is shahr-e-kaj-kulāh ke āsār dekhnā

    aur ḳhud ko be-ridā sar-e-bāzār dekhnā

    vo mere bādbān khulnā havā ke saath

    aur muḌ ke terā jānib-e-rahvār dekhnā

    āshob-e-ḳhisht-o-ḳhāk se ko amaañ kahāñ

    phir us pe rañg-e-shīsha-e-pindār dekhnā

    ab ke lagān kaun uThāne ko aa.egā

    ab ke saroñ fasl hai tayyār dekhnā

    masnad-nashīn-e-shahr-e-ḳharābāt kaun ho

    kis se sambhal sakegī ye dastār dekhnā

    gah is fasīl-e-yād qindīl par nigāh

    gah asp-e-harf-o-ḳhvāb raftār dekhnā

    jis meñ ġharīb-e-shahr beTī chunī ga.ī

    ai mere shahr-e-yār vo dīvār dekhnā

    is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna

    aur KHud ko be-rida sar-e-bazar dekhna

    wo mere baadban ka khulna hawa ke sath

    aur muD ke tera jaanib-e-rahwar dekhna

    aashob-e-KHisht-o-KHak se ji ko aman kahan

    phir us pe rang-e-shisha-e-pindar dekhna

    ab ke lagan kaun uThane ko aaega

    ab ke saron ki fasl hai tayyar dekhna

    masnad-nashin-e-shahr-e-KHarabaat kaun ho

    kis se sambhal sakegi ye dastar dekhna

    gah is fasil-e-yaad ki qindil par nigah

    gah asp-e-harf-o-KHwab ki raftar dekhna

    jis mein gharib-e-shahr ki beTi chuni gai

    ai mere shahr-e-yar wo diwar dekhna

    Source:

    Kunj Pele Pholon ka (Pg. 103)

    • Author: Ishrat Afreen
      • Edition: 1985
      • Publisher: Malik Noorani
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now