Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is shash-jihat mein KHub teri justuju karen

Haidar Ali Aatish

is shash-jihat mein KHub teri justuju karen

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    is shash-jihat meñ ḳhuub tirī justujū kareñ

    kaabe meñ chal ke sajda tujhe chār-sū kareñ

    āshiq jo husn-e-pāk meñ kuchh guftugū kareñ

    dāman pīchhe naam leñ pahle vazū kareñ

    sharminda huuñ zamīñ meñ gaḌeñ surḳh-rū kareñ

    ustādgī jo sarv tire rū-ba-rū kareñ

    paidā kareñ jo tujh ko unhīñ ko hai dastaras

    pāmard haiñ vahī jo tirī justujū kareñ

    le chukī chaman meñ sabā bū-e-zulf-e-yār

    sumbul ke silsile ko bhī barham vo kareñ

    afsāna-goī af.ī-e-gesū-e-yār meñ

    ḳhāmosh hoñ charāġh jo ham guftugū kareñ

    dīvāngī silsila jaave na haath se

    dāman ko phāḌiye jo garebāñ rafū kareñ

    ai bādshāh-e-husn faqīroñ tarah se

    āshiq duā-e-ḳhair tujhe kū-ba-kū kareñ

    dīdār-e-ām kījiye parda uThā.iye

    tā-chand banda-hā-e-ḳhudā aarzū kareñ

    mastī meñ mujh se be-adabī hogī yaar se

    mujh ko gunāh-gār na jām-o-subū kareñ

    dīvān-e-husn meñ se hui hai ye intiḳhāb

    āshiq-mizāj sair-e-bayāz-e-gulū kareñ

    vird-e-zabāñ hai roz-o-shab in sanā-e-husn

    shāyāñ hai jis qadar ki ye shā.er ġhulū kareñ

    likh dete haiñ hasīnoñ ko ham ḳhatt-e-bandgī

    mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-ḳhū kareñ

    hairān-kār huuñ tire ruḳhsār-e-sāf

    sakta ho aa.ina jo tire rū-ba-rū kareñ

    murġh-e-chaman hoñ zamzama-pairā bahār aa.ī

    hañgāma garm shefta-e-rañg-o-bū kareñ

    tāsīr-dār log haiñ allāh ke faqīr

    sañg-e-sanam hoñ aab jo ham zikr-e-hū kareñ

    maujūd go ki hai magar chāhtā hai shauq

    āvāra hoñ talāsh tirī chaar kareñ

    'ātish' ye vo zamīñ hai ki jis meñ ba-qaul-e-'dard'

    dil nahīñ rahā hai jo kuchh aarzū kareñ

    is shash-jihat mein KHub teri justuju karen

    kabe mein chal ke sajda tujhe chaar-su karen

    aashiq jo husn-e-pak mein kuchh guftugu karen

    daman ka pichhe nam len pahle wazu karen

    sharminda hun zamin mein gaDen surKH-ru karen

    ustadgi jo sarw tere ru-ba-ru karen

    paida karen jo tujh ko unhin ko hai dastaras

    pamard hain wahi jo teri justuju karen

    le ja chuki chaman mein saba bu-e-zulf-e-yar

    sumbul ke silsile ko bhi barham wo mu karen

    afsana-goi afi-e-gesu-e-yar mein

    KHamosh hon charagh jo hum guftugu karen

    diwangi ka silsila jawe na hath se

    daman ko phaDiye jo gareban rafu karen

    ai baadshah-e-husn faqiron ki tarah se

    aashiq dua-e-KHair tujhe ku-ba-ku karen

    didar-e-am kijiye parda uThaiye

    ta-chand banda-ha-e-KHuda aarzu karen

    masti mein mujh se be-adabi hogi yar se

    mujh ko gunah-gar na jam-o-subu karen

    diwan-e-husn mein se hui hai ye intiKHab

    aashiq-mizaj sair-e-bayaz-e-gulu karen

    wird-e-zaban hai roz-o-shab in ki sana-e-husn

    shayan hai jis qadar ki ye shaer ghulu karen

    likh dete hain hasinon ko hum KHatt-e-bandgi

    mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-KHu karen

    hairan-kar hun tere ruKHsar-e-saf ka

    sakta ho aaina jo tere ru-ba-ru karen

    murgh-e-chaman hon zamzama-paira bahaar aai

    hangama garm shefta-e-rang-o-bu karen

    tasir-dar log hain allah ke faqir

    sang-e-sanam hon aab jo hum zikr-e-hu karen

    maujud go ki tu hai magar chahta hai shauq

    aawara hon talash teri chaar su karen

    'atish' ye wo zamin hai ki jis mein ba-qaul-e-'dard'

    dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 185)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now