aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya

Shahram Sarmadi

is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya

Shahram Sarmadi

MORE BYShahram Sarmadi

    is soch meñ marhala-e-shab guzar gayā

    dar kiyā to kis liye saaya bikhar gayā

    tā-der apne saath rahā maiñ zamāne baad

    be-nām sukūt thā jab raat ghar gayā

    rakhtā thā hukm maut jo rāh-e-vasl meñ

    vo lamha-e-firāq mire Dar se mar gayā

    sab raunaqeñ ba-zid thiiñ jahāñ ghar banāne ko

    vo qarya-e-vajūd ḳhalāoñ se bhar gayā

    maiñ bāñdh rahā thā ġhazal meñ use abhī

    vo zīna-e-ḳhayāl se nīche utar gayā

    is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya

    dar wa kiya to kis liye saya bikhar gaya

    ta-der apne sath raha main zamane baad

    be-nam sa sukut tha jab raat ghar gaya

    rakhta tha hukm maut ka jo rah-e-wasl mein

    wo lamha-e-firaq mere Dar se mar gaya

    sab raunaqen ba-zid thin jahan ghar banane ko

    wo qarya-e-wajud KHalaon se bhar gaya

    main bandh hi raha tha ghazal mein use abhi

    wo zina-e-KHayal se niche utar gaya

    Source:

    Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 66)

    • Author: Shahram Sarmadi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now