Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de

Naseer Baloch

is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de

Naseer Baloch

MORE BYNaseer Baloch

    is tarah bhī ka.ī mo.ajiz-numā amsāl de

    chaar din zindagī meñ hijr ke sau saal de

    aa mirī āġhosh meñ be-sāḳhta sar rakh ke ro

    aa mire kashkol meñ saarā samundar Daal de

    shaam dahlīz par girte hue ḳhurshīd ko

    karishma-sāz hai to kal sahar tak Taal de

    zindagī meñ ik izāfī bojh huuñ tere liye

    ho sake to maut ke raste meñ mujh ko Daal de

    aa mirī mayyat ke sirhāne koī hangāma kar

    jag dhamāleñ Dāltā hai zarā taal de

    zard pattoñ ke dahan se ek luqma chhīn kar

    ai mire rāziq mirī ġhurbat ke aage Daal de

    raat ke pichhle pahar ik martaba mere liye

    vasl māñgī duā phir badduā sau saal de

    maiñ sar-e-taslīm ḳham kartā huuñ lekin ye nahīñ

    vo bashar ko maar ke kutte ke aage Daal de

    is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de

    chaar din ki zindagi mein hijr ke sau sal de

    aa meri aaghosh mein be-saKHta sar rakh ke ro

    aa mere kashkol mein sara samundar Dal de

    sham ki dahliz par girte hue KHurshid ko

    tu karishma-saz hai to kal sahar tak Tal de

    zindagi mein ek izafi bojh hun tere liye

    ho sake to maut ke raste mein mujh ko Dal de

    aa meri mayyat ke sirhane koi hangama kar

    jag dhamalen Dalta hai tu zara si tal de

    zard patton ke dahan se ek luqma chhin kar

    ai mere raaziq meri ghurbat ke aage Dal de

    raat ke pichhle pahar ek martaba mere liye

    wasl ki mangi dua phir baddua sau sal de

    main sar-e-taslim KHam karta hun lekin ye nahin

    wo bashar ko mar ke kutte ke aage Dal de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now