is tarah mujhko kisi dil mein jagah di gai hai
is tarah mujh ko kisī dil meñ jagah dī ga.ī hai
jaise bachchī koī koThe pe biThā dī ga.ī hai
bas tirī yaad hī baaqī thī mire hāthoñ meñ
ab tirī yaad bhī hāthoñ se gañvā dī ga.ī hai
vo kisī aur se mansūb huī hai aise
jaise beva kisī Dolī meñ biThā dī ga.ī hai
zehn kirdār se tabdīl huā logoñ kā
bas isī jurm meñ kātib ko sazā dī ga.ī hai
is tarah mujh ko kisi dil mein jagah di gai hai
jaise bachchi koi koThe pe biTha di gai hai
bas teri yaad hi baqi thi mere hathon mein
ab teri yaad bhi hathon se ganwa di gai hai
wo kisi aur se mansub hui hai aise
jaise bewa kisi Doli mein biTha di gai hai
zehn kirdar se tabdil hua logon ka
bas isi jurm mein katib ko saza di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.