Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tarah paikar-e-wafa ho jaen

Hazin Ludhianvi

is tarah paikar-e-wafa ho jaen

Hazin Ludhianvi

MORE BYHazin Ludhianvi

    is tarah paikar-e-vafā ho jaa.eñ

    ek duuje aasrā ho jaa.eñ

    aao mil baiTh kar hañseñ boleñ

    nahīñ mā’lūm kab judā ho jaa.eñ

    dukh kisī ko ho ham taḌap uTTheñ

    is qadar dard-āshnā ho jaa.eñ

    ḳhushk dhartī chaTaḳh rahī ho jab

    bharī barsāt ghaTā ho jaa.eñ

    shahr jāmid hai log be-āvāz

    aise māhaul meñ sadā ho jaa.eñ

    dushmanoñ ke liye baneñ sarsar

    dostoñ ke liye sabā ho jaa.eñ

    jo hameñ dekhe dekh le ḳhud ko

    sar-ba-sar sat.h-e-ā.ina ho jaa.eñ

    aag dil agar bhaḌak uTThe

    ye dhuñdlake sahar-numā ho jaa.eñ

    rañg-e-ālam badal rahā hai 'hazīñ'

    nahīñ mā’lūm kyā se kyā ho jaa.eñ

    is tarah paikar-e-wafa ho jaen

    ek duje ka aasra ho jaen

    aao mil baiTh kar hansen bolen

    nahin ma’lum kab juda ho jaen

    dukh kisi ko ho hum taDap uTThen

    is qadar dard-ashna ho jaen

    KHushk dharti chaTaKH rahi ho jab

    bhari barsat ki ghaTa ho jaen

    shahr jamid hai log be-awaz

    aise mahaul mein sada ho jaen

    dushmanon ke liye banen sarsar

    doston ke liye saba ho jaen

    jo hamein dekhe dekh le KHud ko

    sar-ba-sar sath-e-aina ho jaen

    aag dil ki agar bhaDak uTThe

    ye dhundlake sahar-numa ho jaen

    rang-e-alam badal raha hai 'hazin'

    nahin ma’lum kya se kya ho jaen

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 300)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now