Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tarah to lag raha hai chand bhi KHatre mein hai

Aamir Ata

is tarah to lag raha hai chand bhi KHatre mein hai

Aamir Ata

MORE BYAamir Ata

    is tarah to lag rahā hai chāñd bhī ḳhatre meñ hai

    us se mil kar maiñ ne jaanā raushnī ḳhatre meñ hai

    us sūrat dekh kar bolā sitāroñ se qamar

    yaar lagtā hai ki apnī naukrī ḳhatre meñ hai

    us ke hāthoñ meñ chhurī ko dekh kar hairān huuñ

    uñgliyāñ ḳhatre meñ haiñ phir chhurī ḳhatre meñ hai

    kyā kahā tum ne use dekhā hai apne shahr meñ

    yaanī ab to shahr har aadmī ḳhatre meñ hai

    kaun hiirā hai yahāñ aur kaun hai hīrā-numā

    farq itnā batā kar jauharī ḳhatre meñ hai

    jhiil āñkhoñ meñ us Duub saktī hai kabhī

    rok lo us ko koī kar nadī ḳhatre meñ hai

    be-sar-o-pā sher kah kar ḳhush thā maiñ āmir-'atā'

    'mīr' sapne meñ bole shā.erī ḳhatre meñ hai

    is tarah to lag raha hai chand bhi KHatre mein hai

    us se mil kar main ne jaana raushni KHatre mein hai

    us ki surat dekh kar bola sitaron se qamar

    yar lagta hai ki apni naukri KHatre mein hai

    us ke hathon mein chhuri ko dekh kar hairan hun

    ungliyan KHatre mein hain ya phir chhuri KHatre mein hai

    kya kaha tum ne use dekha hai apne shahr mein

    yani ab to shahr ka har aadmi KHatre mein hai

    kaun hira hai yahan aur kaun hai hira-numa

    farq itna sa bata kar jauhari KHatre mein hai

    jhil si aankhon mein us ki Dub sakti hai kabhi

    rok lo us ko koi ja kar nadi KHatre mein hai

    be-sar-o-pa sher kah kar KHush tha main aamir-'ata'

    'mir' ji sapne mein bole shaeri KHatre mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now