Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

Meerza Jawan Bakht Jahandar

is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

Meerza Jawan Bakht Jahandar

MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar

    is vaqt baare kuchh to karam-baḳhshī kījiye

    guzre ham aur baat se gaalī dījiye

    sabr aur dīn-o-dil to tum aage le chuke

    baaqī hai jaañ hamārī so ab ye bhī lījiye

    deve vo jaam ġhair kuuñ yuuñ mere sāmne

    ye dekh kyūñki ḳhūn-e-dil apnā na pīji.e

    nāseh ye kyā hisāb ki maiñ jeb ko silā.ūñ

    behtar hai aap muñh ke ta.iiñ apne jiye

    patthar bhī bilke dekh 'jahāñdār' ye haal

    pyāre kabhū to aap bhī is par pasījiye

    is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

    guzre hum aur baat se gali hi dijiye

    sabr aur din-o-dil to tum aage hi le chuke

    baqi hai jaan hamari so ab ye bhi lijiye

    dewe wo jam ghair kun yun mere samne

    ye dekh kyunki KHun-e-dil apna na pijie

    naseh ye kya hisab ki main jeb ko silaun

    behtar hai aap munh ke tain apne si jiye

    patthar bhi bilke dekh 'jahandar' ka ye haal

    pyare kabhu to aap bhi is par pasijiye

    Source:

    Deewan-e-Jahandaar (Pg. ebook-150 page-143)

    • Author: Meerza Jawan Bakht Jahandar
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now