ise fan nahin parda-e-fan kaho
ise fan nahīñ parda-e-fan kaho
ġhazal ko charāġhoñ kī chilman kaho
inhīñ meñ sañvarte raho umr-bhar
sadā merī āñkhoñ ko darpan kaho
vo jab chāhe sarsabz kar de mujhe
mire vāste us ko sāvan kaho
qadam chāñd se mere dil par rakho
ise bhī kabhī ghar kā āñgan kaho
javāñ ho ke mil jā.eñge ḳhaak meñ
guloñ ko shahīdoñ kā bachpan kaho
ka.ī baaġh haiñ is zamīñ ke tale
mire dil ko yādoñ kā madfan kaho
sitāroñ ke dhabbe khulā āsmāñ
ise bhī sharābī kā dāman kaho
ise fan nahin parda-e-fan kaho
ghazal ko charaghon ki chilman kaho
inhin mein sanwarte raho umr-bhar
sada meri aankhon ko darpan kaho
wo jab chahe sarsabz kar de mujhe
mere waste us ko sawan kaho
qadam chand se mere dil par rakho
ise bhi kabhi ghar ka aangan kaho
jawan ho ke mil jaenge KHak mein
gulon ko shahidon ka bachpan kaho
kai bagh hain is zamin ke tale
mere dil ko yaadon ka madfan kaho
sitaron ke dhabbe khula aasman
ise bhi sharabi ka daman kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.