Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai

Qayyum Tahir

ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai

Qayyum Tahir

MORE BYQayyum Tahir

    ishq aur ishq ke ādāb kyā karnā hai

    nahīñ hai to kisī ḳhvāb kyā karnā hai

    jab tirā naam mire naam ke saath aayā nahīñ

    harf lafz eraab kyā karnā hai

    ab samundar hai na par haiñ na shab-e-chār-dahum

    ab tirī aañkh ke mahtāb kyā karnā hai

    ik yahī chādar-e-hijrāñ mujhe de kar us ne

    kah ke ruḳhsat kiyā asbāb kyā karnā hai

    katraneñ rañj sāñsoñ meñ girah Dāltī haiñ

    ab kisī resham-o-kim-ḳhvāb kyā karnā hai

    āsmāñ chashm barābar bhī na taarā koī

    ab batā rauzan-e-ḳhush-tāb kyā karnā hai

    ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai

    tu nahin hai to kisi KHwab ka kya karna hai

    jab tera nam mere nam ke sath aaya nahin

    harf ka lafz ka erab ka kya karna hai

    ab samundar hai na par hain na shab-e-chaar-dahum

    ab teri aankh ke mahtab ka kya karna hai

    ek yahi chadar-e-hijran mujhe de kar us ne

    kah ke ruKHsat kiya asbab ka kya karna hai

    katranen ranj ki sanson mein girah Dalti hain

    ab kisi resham-o-kim-KHwab ka kya karna hai

    aasman chashm barabar bhi na tara koi

    ab bata rauzan-e-KHush-tab ka kya karna hai

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 19.10.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now