ishq-e-butān-e-dair ne dīvāna kar diyā
donoñ jahān se mujhe begāna kar diyā
dil ne ġhazab kiyā mujhe dīvāna kar diyā
sham.a-e-jamāl-e-yār kā parvāna kar diyā
uljhan shab-e-firāq rahī tā-sahar mujhe
ġhairoñ ne un kī zulf meñ jab shāna kar diyā
us barq-vash ne aañkh milā kar sitam kiyā
labrez merī 'umr kā paimāna kar diyā
saaqī ko mujh se rind ne lākhoñ du'ā.eñ diiñ
labrez mai se jab mirā paimāna kar diyā
mujh bāda-kash kā shīsha-e-dil chuur ho gayā
sau TukḌe mohtasib ne jo paimāna kar diyā
kyā aaj koī rind-e-qadah-nosh mar gayā
saaqī ne band jo dar-e-mai-ḳhāna kar diyā
vo rind-e-bādah-kash huuñ ki jab se sharāb pī
saaqī 'urūj par tirā mai-ḳhāna kar diyā
jām-o-ḳhum-o-subū ko qayāmat kī dī shikast
vīrān terī chashm ne mai-ḳhāna kar diyā
kyā ab ke saal aa.ī hai zoroñ pe fasl-e-gul
saaqī ne vaqf-e-ām jo mai-ḳhāna kar diyā
bal kī jo mujh se lene lagī zulf-e-pur-shikan
shāna banā ke dil kā vahīñ shāna kar diyā
dasht-e-junūñ meñ chuntā huuñ tinke basān-e-qais
saudā-e-zulf ne mujhe dīvāna kar diyā
raunaq-fazā jo vasl kī shab meñ huā vo maah
pur-nūr aate hī mirā kāshāna kar diyā
bint-ul-inab kī aañkh thī jaadū bharī huī
zāhid ko ik nigāh meñ dīvāna kar diyā
dil meñ butān-e-dair ko kyoñ dī jagah 'vafā'
kā'ba thā jis kā naam use but-ḳhāna kar diyā
ishq-e-butan-e-dair ne diwana kar diya
donon jahan se mujhe begana kar diya
dil ne ghazab kiya mujhe diwana kar diya
shama-e-jamal-e-yar ka parwana kar diya
uljhan shab-e-firaq rahi ta-sahar mujhe
ghairon ne un ki zulf mein jab shana kar diya
us barq-wash ne aankh mila kar sitam kiya
labrez meri 'umr ka paimana kar diya
saqi ko mujh se rind ne lakhon du'aen din
labrez mai se jab mera paimana kar diya
mujh baada-kash ka shisha-e-dil chur ho gaya
sau TukDe mohtasib ne jo paimana kar diya
kya aaj koi rind-e-qadah-nosh mar gaya
saqi ne band jo dar-e-mai-KHana kar diya
wo rind-e-baadah-kash hun ki jab se sharab pi
saqi 'uruj par tera mai-KHana kar diya
jam-o-KHum-o-subu ko qayamat ki di shikast
viran teri chashm ne mai-KHana kar diya
kya ab ke sal aai hai zoron pe fasl-e-gul
saqi ne waqf-e-am jo mai-KHana kar diya
bal ki jo mujh se lene lagi zulf-e-pur-shikan
shana bana ke dil ka wahin shana kar diya
dasht-e-junun mein chunta hun tinke basan-e-qais
sauda-e-zulf ne mujhe diwana kar diya
raunaq-faza jo wasl ki shab mein hua wo mah
pur-nur aate hi mera kashana kar diya
bint-ul-inab ki aankh thi jadu bhari hui
zahid ko ek nigah mein diwana kar diya
dil mein butan-e-dair ko kyon di jagah 'wafa'
ka'ba tha jis ka nam use but-KHana kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.