Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam

Syed Zahiruddin Zaheer

ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam

Syed Zahiruddin Zaheer

MORE BYSyed Zahiruddin Zaheer

    ishq hai dariyā-e-ātish tair kar jaane naam

    husn hai sehn-e-chaman meñ phuul barsāne naam

    rāt-bhar sham-e-hazīñ is fikr meñ jaltī rahī

    kyuuñ buland āḳhir hai is duniyā meñ parvāne

    lailā-o-shīrīñ kyā kuchh kahiye ab is gul baat

    aaj hai ūñchā chaman meñ jis ke afsāne naam

    tūr-e-dil ḳhair ho ab tāb-e-nazzāra kahāñ

    husn jalva tumhāre barq gir jaane naam

    chaman hai aur tirī raftār hai mauj-e-nasīm

    ḳhāmushī ġhuncha hañsī hai phuul khil jaane naam

    kahkashāñ hai maañg terī ġhāza-e-ruḳh chāñdnī

    qad zamīñ par māh-o-anjum ke utar aane naam

    jab kabhī shānoñ pe zulf-e-ambarīñ lahrā ga.ī

    bas yahī hai nik.hat-e-gul ke mahak jaane naam

    ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam

    husn hai sehn-e-chaman mein phul barsane ka nam

    raat-bhar sham-e-hazin is fikr mein jalti rahi

    kyun buland aaKHir hai is duniya mein parwane ka na

    laila-o-shirin ki kya kuchh kahiye ab is gul ki baat

    aaj hai uncha chaman mein jis ke afsane ka nam

    tur-e-dil ki KHair ho ab tab-e-nazzara kahan

    husn ka jalwa tumhaare barq gir jaane ka nam

    tu chaman hai aur teri raftar hai mauj-e-nasim

    KHamushi ghuncha hansi hai phul khil jaane ka nam

    kahkashan hai mang teri ghaza-e-ruKH chandni

    qad zamin par mah-o-anjum ke utar aane ka nam

    jab kabhi shanon pe zulf-e-ambarin lahra gai

    bas yahi hai nikhat-e-gul ke mahak jaane ka nam

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 215)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now