Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq hai nam mera husn ka shaidai hun

Saeedullah Khan Ufuq

ishq hai nam mera husn ka shaidai hun

Saeedullah Khan Ufuq

MORE BYSaeedullah Khan Ufuq

    ishq hai naam mirā husn shaidā.ī huuñ

    baat ye aur ki mahrūm-e-pazīrā.ī huuñ

    qāfile ġham ke jahāñ rukte haiñ dam lene ko

    maiñ vahī sāya-e-dīvār-e-shakebā.ī huuñ

    kuchh is andāz se uThtī rahī hāsid nazar

    jaise maiñ sabab-e-anjuman-ārā.ī huuñ

    nukta-chīñ mere mire ḳhuuñ safedī pe na

    maiñ na.e daur ke bhaa.ī sagā bhaa.ī huuñ

    misra-e-tar ke kabhī paañv phisal jaate haiñ

    jaise maiñ rāh-e-taḳhayyul pe jamī kaa.ī huuñ

    gin liye uḌte hue tā.ir-e-lāhūt ke par

    kaun kahtā hai ki gum-karda-e-bīnā.ī huuñ

    kam-nazar haiñ vo jo kamzor samajhte haiñ mujhe

    atomī daur tāqat huuñ tavānā.ī huuñ

    dil dahal jaate haiñ faulād chaTTānoñ ke

    shor-e-tanhā.ī huuñ āvāza-e-barnā.ī huuñ

    ye mirā apnā tarīqa hai ḳhud-āgāhī

    ḳhud tamāshā huuñ 'ufuq' ḳhud tamāshā.ī huuñ

    ishq hai nam mera husn ka shaidai hun

    baat ye aur ki mahrum-e-pazirai hun

    qafile gham ke jahan rukte hain dam lene ko

    main wahi saya-e-diwar-e-shakebai hun

    kuchh is andaz se uThti rahi hasid ki nazar

    jaise main hi sabab-e-anjuman-arai hun

    nukta-chin mere mere KHun ki safedi pe na ja

    main nae daur ke bhai ka saga bhai hun

    misra-e-tar ke kabhi panw phisal jate hain

    jaise main rah-e-taKHayyul pe jami kai hun

    gin liye uDte hue tair-e-lahut ke par

    kaun kahta hai ki gum-karda-e-binai hun

    kam-nazar hain wo jo kamzor samajhte hain mujhe

    atomi daur ki taqat hun tawanai hun

    dil dahal jate hain faulad si chaTTanon ke

    shor-e-tanhai hun aawaza-e-barnai hun

    ye mera apna tariqa hai KHud-agahi ka

    KHud tamasha hun 'ufuq' KHud hi tamashai hun

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 85)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now