Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq har-chand masaib se pareshan na hua

Ehsan Danish

ishq har-chand masaib se pareshan na hua

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    ishq har-chand masā.ib se pareshāñ na huā

    na huā husn magar tāba-e-farmāñ na huā

    laakh duniyā ne ye chāhā ki pareshāñ ho magar

    maiñ tire ġham hifāzat meñ pareshāñ na huā

    dil āvāz ho mahrūm-e-asar kyā ma.anī

    ishq kāfir hai agar husn musalmāñ na huā

    darpai uqda-e-hastī hai azal se bashar

    lekin ik ḳhaak ke zarre bhī irfāñ na huā

    dil meñ har ḳhuun qatra hai talātum ba-kanār

    jo magar aañkh se Tapkā vahī tūfāñ na huā

    to vo āzād ki be-vaj.h hai mujh se bhī gurez

    maiñ vo majbūr ki dushman se bhī nālāñ na huā

    apnī paiġhām-navā.ī ke natā.ej meñ mujhe

    fikr-e-zindāñ to rahā hai ġham-e-zindāñ na huā

    jis ke mashrab meñ mohabbat ho mohabbat javāb

    merī taqdīr meñ aisā koī insāñ na huā

    ek jalve se 'ehsān' nazar haT na sakī

    mujh se kuchh us ke sivā kār-e-numāyāñ na huā

    ishq har-chand masaib se pareshan na hua

    na hua husn magar taba-e-farman na hua

    lakh duniya ne ye chaha ki pareshan ho magar

    main tere gham ki hifazat mein pareshan na hua

    dil ki aawaz ho mahrum-e-asar kya mani

    ishq kafir hai agar husn musalman na hua

    darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar

    lekin ek KHak ke zarre ka bhi irfan na hua

    dil mein har KHun ka qatra hai talatum ba-kanar

    jo magar aankh se Tapka wahi tufan na hua

    to wo aazad ki be-wajh hai mujh se bhi gurez

    main wo majbur ki dushman se bhi nalan na hua

    apni paigham-nawai ke nataej mein mujhe

    fikr-e-zindan to raha hai gham-e-zindan na hua

    jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat ka jawab

    meri taqdir mein aisa koi insan na hua

    ek hi jalwe se 'ehsan' nazar haT na saki

    mujh se kuchh us ke siwa kar-e-numayan na hua

    Source:

    Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 89)

    • Author: Shabnam Parveen
      • Edition: 2006
      • Publisher: Asghar Publishers
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now