Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ka marhala mere liye dushwar nahin

Kashif Shakeel

ishq ka marhala mere liye dushwar nahin

Kashif Shakeel

MORE BYKashif Shakeel

    ishq marhala mere liye dushvār nahīñ

    mere qisse meñ shahanshāh kirdār nahīñ

    sang barsegā na logoñ malāmat hogī

    merī duniyā meñ koī najd bāzār nahīñ

    koī farhād nahīñ maiñ jo karūñ koh-kanī

    mere anjām meñ teshe bhī kirdār nahīñ

    romeo jaisā marūñ zahar-e-mohabbat khā kar

    juliet koī laḌkī mujhe darkār nahīñ

    hiir ke vāste jogī maiñ banūñ nā-mumkin

    rāñjhe tarah bichhaḌne ko maiñ tayyār nahīñ

    maiñ vo yūsuf nahīñ jo pākī-e-dāman dekhe

    daur-e-hāzir meñ zuleḳhā bhī sarkār nahīñ

    maiñ na.e daur āshiq huuñ mirā mauqif hai

    ishq sansār meñ hai ishq sansār nahīñ

    ghanToñ bāteñ maiñ karūñ haa.e hello likhtā rahūñ

    garche shā.ir huuñ mirī jaan maiñ be-kār nahīñ

    aaj milnā hai kahā piir ko us ne 'kāshif'

    maiñ ne reply kiyā jaan ye itvār nahīñ

    ishq ka marhala mere liye dushwar nahin

    mere qisse mein shahanshah ka kirdar nahin

    sang barsega na logon ki malamat hogi

    meri duniya mein koi najd ka bazar nahin

    koi farhad nahin main jo karun koh-kani

    mere anjam mein teshe ka bhi kirdar nahin

    romeo jaisa marun zahar-e-mohabbat kha kar

    juliet si koi laDki mujhe darkar nahin

    hir ke waste jogi main banun na-mumkin

    ranjhe ki tarah bichhaDne ko main tayyar nahin

    main wo yusuf nahin jo paki-e-daman dekhe

    daur-e-hazir mein zuleKHa ki bhi sarkar nahin

    main nae daur ka aashiq hun mera mauqif hai

    ishq sansar mein hai ishq hi sansar nahin

    ghanTon baaten main karun hae hello likhta rahun

    garche shair hun meri jaan main be-kar nahin

    aaj milna hai kaha pir ko us ne 'kashif'

    main ne reply kiya jaan ye itwar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now