Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ka rog bhala kaise palega mujhse

Prakhar Malviya Kanha

ishq ka rog bhala kaise palega mujhse

Prakhar Malviya Kanha

MORE BYPrakhar Malviya Kanha

    ishq rog bhalā kaise palegā mujh se

    qatl hotā nahīñ yaar anā mujh se

    garm paanī nadī khul ga.ī siine pe mire

    kal gale lag ke baḌī der vo royā mujh se

    maiñ batātā huuñ kuchh ik din se sabhī ko kam-tar

    sāhibo uTh gayā kyā merā bharosa mujh se

    ik tirā ḳhvāb kaafī hai mire uḌne ko

    rashk kartā hai mirī jaan parinda mujh se

    yak-ba-yak Duub gayā ashkoñ ke dariyā meñ maiñ

    bāñdh yādoñ tirī aaj jo TuuTā mujh se

    kisī patthar se dabī hai merī har ik dhaḌkan

    siikh lo zabt jo bhī hai salīqa mujh se

    koī darvāza nahīñ khultā magar jaan mirī

    baat kartā hai tire ghar darīcha mujh se

    bujh gayā maiñ to ġhazal paḌh ke vo jis meñ thā

    par huā bazm raunaq meñ izāfa mujh se

    ishq ka rog bhala kaise palega mujh se

    qatl hota hi nahin yar ana ka mujh se

    garm pani ki nadi khul gai sine pe mere

    kal gale lag ke baDi der wo roya mujh se

    main batata hun kuchh ek din se sabhi ko kam-tar

    sahibo uTh gaya kya mera bharosa mujh se

    ek tera KHwab hi kafi hai mere uDne ko

    rashk karta hai meri jaan parinda mujh se

    yak-ba-yak Dub gaya ashkon ke dariya mein main

    bandh yaadon ka teri aaj jo TuTa mujh se

    kisi patthar se dabi hai meri har ek dhaDkan

    sikh lo zabt ka jo bhi hai saliqa mujh se

    koi darwaza nahin khulta magar jaan meri

    baat karta hai tere ghar ka daricha mujh se

    bujh gaya main to ghazal paDh ke wo jis mein tu tha

    par hua bazm ki raunaq mein izafa mujh se

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Prakhar Malviya Kanha

    Prakhar Malviya Kanha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now