Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq karte ho KHasaron ki taraf mat dekho

Altamash Abbas

ishq karte ho KHasaron ki taraf mat dekho

Altamash Abbas

MORE BYAltamash Abbas

    ishq karte ho ḳhasāroñ taraf mat dekho

    do qadam chal ke sahāroñ taraf mat dekho

    apne andar ke ajā.ib karo sair kabhī

    sirf bāhar ke nazāroñ taraf mat dekho

    paar utarnā hai to phir kuud paḌo dariyā meñ

    aise muḌ-muḌ ke kināroñ taraf mat dekho

    ham se zarre bhī qatāroñ meñ khaḌe haiñ kab se

    bas chamakte hue tāroñ taraf mat dekho

    ḳhat-e-tansīḳh agar khīñchnā vājib ho to phir

    teġh lahrā do hazāroñ taraf mat dekho

    'altamash' tum ko na bhaTkā deñ ye manzil se kahīñ

    ye ishāre haiñ ishāroñ taraf mat dekho

    ishq karte ho KHasaron ki taraf mat dekho

    do qadam chal ke sahaaron ki taraf mat dekho

    apne andar ke ajaib ki karo sair kabhi

    sirf bahar ke nazaron ki taraf mat dekho

    par utarna hai to phir kud paDo dariya mein

    aise muD-muD ke kinaron ki taraf mat dekho

    hum se zarre bhi qataron mein khaDe hain kab se

    bas chamakte hue taron ki taraf mat dekho

    KHat-e-tansiKH agar khinchna wajib ho to phir

    tegh lahra do hazaron ki taraf mat dekho

    'altamash' tum ko na bhaTka den ye manzil se kahin

    ye ishaare hain ishaaron ki taraf mat dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now