Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    ishq ke shahr kuchh āb-o-havā aur hai

    us ke sahrā ko jo dekhā to fazā aur hai

    tujh se kuchh kaam nahīñ duur ho aage se nasīm

    kare ġhuncha-e-dil ko vo sabā aur hai

    nabz par merī abas haath rakhtā hai tabīb

    ye maraz aur hai aur is davā aur hai

    gul to gulshan meñ hazāroñ nazar aa.e lekin

    us ke chehre ko jo dekhā to safā aur hai

    zāhido vird-vazā.if se nahīñ hāsil-e-kār

    jis ko ho husn-e-ijābat vo duā aur hai

    ai jaras harza-dirā ho na itnā chup rah

    pahuñche pas-māñda ba-manzil vo sadā aur hai

    mohtasib ham se abas kiina rakhe hai 'hātim'

    jo nasha ham ne piyā hai vo nashā aur hai

    ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai

    us ke sahra ko jo dekha to faza aur hi hai

    tujh se kuchh kaam nahin dur ho aage se nasim

    wa kare ghuncha-e-dil ko wo saba aur hi hai

    nabz par meri abas hath tu rakhta hai tabib

    ye maraz aur hai aur is ki dawa aur hi hai

    gul to gulshan mein hazaron nazar aae lekin

    us ke chehre ko jo dekha to safa aur hi hai

    zahido wird-wazaif se nahin hasil-e-kar

    jis ko ho husn-e-ijabat wo dua aur hi hai

    ai jaras harza-dira ho na tu itna chup rah

    pahunche pas-manda ba-manzil wo sada aur hi hai

    mohtasib hum se abas kina rakhe hai 'hatim'

    jo nasha hum ne piya hai wo nasha aur hi hai

    Source:

    Diwan-e-Zadah (Pg. 311)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now