Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki aag mein ab sham sa jal jaunga

Ishq Aurangabadi

ishq ki aag mein ab sham sa jal jaunga

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

  'ishq aag meñ ab sham' jal jā.ūñgā

  tujh lagan biich qadam gaaḌ na Tal jā.ūñgā

  gar dam-e-teġh se sau baar kaTegī gardan

  apnī sābit-qadamī sete sañbhal jā.ūñgā

  maiñ vo jāñ-bāz o havāla huuñ patiñge tarah

  sham'-rū tere upar jaan se jal jā.ūñgā

  shajar-e-mom huuñ ālam-e-mauhūm ke biich

  mehrbāñ garm-nigāhī se pighal jā.ūñgā

  ḳhaak uḌātā huā hastī ke ta.iiñ de barbād

  sar-ba-sahrā huuñ bagūle nikal jā.ūñgā

  tere kūche taraf 'azm kiyā huuñ jānāñ

  āḳhirash yak do qadam sar se bhī chal jā.ūñgā

  chashma-e-bad-mast ko gardish meñ jo laave saaqī

  abhī do jaam meñ sarshār ho chal jā.ūñgā

  'ishq' hai baal se bārīk sirāt-e-mahshar

  yā-'alī' kah ke tabhī us pe sañbhal jā.ūñgā

  'ishq ki aag mein ab sham' sa jal jaunga

  tujh lagan bich qadam gaD na Tal jaunga

  gar dam-e-tegh se sau bar kaTegi gardan

  apni sabit-qadami sete sanbhal jaunga

  main wo jaan-baz o hawala hun patinge ki tarah

  sham'-ru tere upar jaan se jal jaunga

  shajar-e-mom sa hun aalam-e-mauhum ke bich

  mehrban garm-nigahi se pighal jaunga

  KHak uData hua hasti ke tain de barbaad

  sar-ba-sahra hun bagule sa nikal jaunga

  tere kuche ki taraf 'azm kiya hun jaanan

  aaKHirash yak do qadam sar se bhi chal jaunga

  chashma-e-bad-mast ko gardish mein jo lawe saqi

  abhi do jam mein sarshaar ho chal jaunga

  'ishq' hai baal se barik siraat-e-mahshar

  ya-'ali' kah ke tabhi us pe sanbhal jaunga

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now