Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de

Inam Sharar Ayyubi

ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de

Inam Sharar Ayyubi

MORE BYInam Sharar Ayyubi

    ishq baat vafāoñ kahānī rakh de

    ho ga.ī aaj har ik rasm purānī rakh de

    muntazir hai mirī peshānī kisī sūraj

    apne hoñToñ se jo ek nishānī rakh de

    guftugū merī mirā dost samajhtā nahīñ

    us ke dil meñ mire lafzoñ ke ma.ānī rakh de

    vo bhī sairāb hoñ sadiyoñ se jo pyāse rahe

    ḳhushk sahrāoñ meñ dariyāoñ paanī rakh de

    maiñ 'sharar' bolūñ to aivān-e-siyāsat jal jaa.e

    mere alfāz meñ vo sho.ala-bayānī rakh de

    ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de

    ho gai aaj har ek rasm purani rakh de

    muntazir hai meri peshani kisi suraj ki

    apne honTon se jo tu ek nishani rakh de

    guftugu meri mera dost samajhta hi nahin

    us ke dil mein mere lafzon ke maani rakh de

    wo bhi sairab hon sadiyon se jo pyase hi rahe

    KHushk sahraon mein dariyaon ka pani rakh de

    main 'sharar' bolun to aiwan-e-siyasat jal jae

    mere alfaz mein wo shoala-bayani rakh de

    Source:

    Harf Harf Sharar (Pg. 83)

    • Author: Inam Sharar Ayyubi
      • Publisher: Moazzam Ali
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now