Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki barbaadiyon ka ek yahi hasil sahi

Sabir Dehlavi

ishq ki barbaadiyon ka ek yahi hasil sahi

Sabir Dehlavi

MORE BYSabir Dehlavi

    ishq barbādiyoñ ik yahī hāsil sahī

    nahīñ apnā to terā ġham sharīk-e-dil sahī

    zindagī ko zindagī kuchh ḳhushī hāsil sahī

    dard-e-mahrūmī sahī soz-e-dard-e-dil sahī

    agar mumkin nahīñ to ġham bhī terā kam nahīñ

    ek shai hāsil sahī aur ek be-hāsil sahī

    sāmne un ke magar phir bhī nikal aate haiñ ashk

    kitne pardoñ meñ pinhāñ rāz-e-soz-e-dil sahī

    ḳhair ho yārab mire azm-o-yaqīñ ḳhair ho

    laakh ehsās-e-fareb-e-dūrī-e-manzil sahī

    justujū ne dost āḳhir justujū-e-dost hai

    rahrav-e-rāh-e-talab gum-karda-e-manzil sahī

    us ek ik aan par 'sābir' ke jān-o-dil nisār

    istilāh-e-ām meñ mash.hūr vo qātil sahī

    ishq ki barbaadiyon ka ek yahi hasil sahi

    tu nahin apna to tera gham sharik-e-dil sahi

    zindagi ko zindagi ki kuchh KHushi hasil sahi

    dard-e-mahrumi sahi ya soz-e-dard-e-dil sahi

    tu agar mumkin nahin to gham bhi tera kam nahin

    ek shai hasil sahi aur ek be-hasil sahi

    samne un ke magar phir bhi nikal aate hain ashk

    kitne hi pardon mein pinhan raaz-e-soz-e-dil sahi

    KHair ho yarab mere azm-o-yaqin ki KHair ho

    lakh ehsas-e-fareb-e-duri-e-manzil sahi

    justuju ne dost aaKHir justuju-e-dost hai

    rahraw-e-rah-e-talab gum-karda-e-manzil sahi

    us ki ek ek aan par 'sabir' ke jaan-o-dil nisar

    istilah-e-am mein mashhur wo qatil sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now