Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki jaise hi tashhir hui

Samar Khanabadosh

ishq ki jaise hi tashhir hui

Samar Khanabadosh

MORE BYSamar Khanabadosh

    'ishq jaise tash.hīr huī

    zindagī ranj se tā'bīr huī

    dhuup meñ rakh ke koī bhuul gayā

    dil-lagī yahī tā'zīr huī

    dil ke ā.īne pe chāhat dhamāl

    rang bikhrā tirī tasvīr huī

    chashm-e-nam chand ġhazal aur bayāz

    ‘ishq-zādoñ ye jāgīr huī

    paḌ ga.ī chehre pe ālām gard

    bebasī paañv zanjīr huī

    kūza-gar ne jise pheñk diyā

    aisī miTTī bhī tauqīr huī

    tere malbūs afsurda mahak

    shahr-e-kam-zarf taqdīr huī

    'ishq ki jaise hi tashhir hui

    zindagi ranj se ta'bir hui

    dhup mein rakh ke koi bhul gaya

    dil-lagi ki yahi ta'zir hui

    dil ke aaine pe chahat ka dhamal

    rang bikhra teri taswir hui

    chashm-e-nam chand ghazal aur bayaz

    ‘ishq-zadon ki ye jagir hui

    paD gai chehre pe aalam ki gard

    bebasi panw ki zanjir hui

    kuza-gar ne hi jise phenk diya

    aisi miTTi ki bhi tauqir hui

    tere malbus ki afsurda mahak

    shahr-e-kam-zarf ki taqdir hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now