Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki koi agar sikh le gar mujhse tamiz

Qasim Ali Khan Afridi

ishq ki koi agar sikh le gar mujhse tamiz

Qasim Ali Khan Afridi

MORE BYQasim Ali Khan Afridi

    ishq koī agar siikh le gar mujh se tamīz

    dīn-duniyā meñ huā apne parāyoñ ko aziiz

    ho shāgird mirā mujhe talmīz kare

    varna is kūcha-e-ushshāq se kar jaave gurez

    maktab-e-ishq se nā-ḳhvāñda uThā jo mahrūm

    dono aalam meñ vo kuchh chiiz nahīñ hai nāchīz

    mard kyūñkar kahūñ be-ishq jo hove koī

    firqa ushshāq meñ us ke ta.iiñ kahte haiñ kanīz

    maiñ ne ustād-e-azal se yahī sīkhā thā sabaq

    'āfrīdī' na kabhī yaar chhoḌūñ dahlīz

    ishq ki koi agar sikh le gar mujh se tamiz

    din-duniya mein hua apne parayon ko aziz

    ya ho shagird mera ya mujhe talmiz kare

    warna is kucha-e-ushshaq se kar jawe gurez

    maktab-e-ishq se na-KHwanda uTha jo mahrum

    dono aalam mein wo kuchh chiz nahin hai nachiz

    mard kyunkar kahun be-ishq jo howe koi

    firqa ushshaq mein us ke tain kahte hain kaniz

    main ne ustad-e-azal se yahi sikha tha sabaq

    'afridi' na kabhi yar ki chhoDun dahliz

    Source:

    Deewan-e-Qasim Ali Khan Aafreedi (Pg. e-125 p-87)

    • Author: Qasim Ali Khan Afridi
      • Edition: 1971
      • Publisher: Pashto Academy, Peshawar
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now