Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki rah pe chalna rawish-e-am hai ye

Ishaq Malik

ishq ki rah pe chalna rawish-e-am hai ye

Ishaq Malik

MORE BYIshaq Malik

    ishq raah pe chalnā ravish-e-ām hai ye

    dekhtā kaun hai āġhāz ki anjām hai ye

    zindagī koī rasta na koī maut ruḳh

    kaun se moḌ pe ab gardish-e-ayyām hai ye

    ḳhuun tum ne adā ḳhuun qīmat mere

    ġhaur kiije to pasīne nahīñ daam hai ye

    tum chale aa.e ho ik jhūTī tasallī dene

    saare dukh-dard sahī ek to ārām hai ye

    husn-e-mahbūb pe jaan se qurbāñ honā

    qismat-e-ishq meñ bas ek hasīñ kaam hai ye

    kal jo kahte the ġhanī aaj gadā kahte haiñ

    ik mirā naam thā vo ek mirā naam hai ye

    kaun aayā hai 'malik' aaj ujālā ban kar

    kis aamad mere āñgan meñ sar-e-shām hai ye

    ishq ki rah pe chalna rawish-e-am hai ye

    dekhta kaun hai aaghaz ki anjam hai ye

    zindagi ka koi rasta na koi maut ka ruKH

    kaun se moD pe ab gardish-e-ayyam hai ye

    KHun ki tum ne ada KHun ki qimat mere

    ghaur kije to pasine ka nahin dam hai ye

    tum chale aae ho ek jhuTi tasalli dene

    sare dukh-dard sahi ek to aaram hai ye

    husn-e-mahbub pe ji jaan se qurban hona

    qismat-e-ishq mein bas ek hasin kaam hai ye

    kal jo kahte the ghani aaj gada kahte hain

    ek mera nam tha wo ek mera nam hai ye

    kaun aaya hai 'malik' aaj ujala ban kar

    kis ki aamad mere aangan mein sar-e-sham hai ye

    Source:

    Nagina-e-Sukhan (Pg. 85)

    • Author: Ishaq Malik
      • Publisher: Rahnuma-e-Adab, Hyderabad
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now