Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha

Hasan Najmi Sikandarpuri

ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha

Hasan Najmi Sikandarpuri

MORE BYHasan Najmi Sikandarpuri

    ishq ko pās-e-vafā aaj bhī karte dekhā

    ek patthar ke liye se guzarte dekhā

    past ġhāroñ ke añdheroñ meñ jo le jaatī haiñ

    vo uḌāneñ bhī to insān ko bharte dekhā

    jabhī laa.ī hai sabā mausam-e-gul aahaT

    barg afsurda hue shāḳhoñ ko Darte dekhā

    tirī dahlīz pe gardish guzar kyā ma.anī

    tujh ko jab dekhā hai kuchh bante sañvarte dekhā

    be-sadā sahī par sañg-e-sifat haiñ lamhe

    un āġhosh meñ har shai ko bikharte dekhā

    jo bhī biitī sar-e-farhād pe biitī 'najmī'

    kisī 'parvez' ko teshe se na marte dekhā

    ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha

    ek patthar ke liye ji se guzarte dekha

    past ghaaron ke andheron mein jo le jati hain

    wo uDanen bhi to insan ko bharte dekha

    jabhi lai hai saba mausam-e-gul ki aahaT

    barg afsurda hue shaKHon ko Darte dekha

    teri dahliz pe gardish ka guzar kya mani

    tujh ko jab dekha hai kuchh bante sanwarte dekha

    be-sada hi sahi par sang-e-sifat hain lamhe

    un ki aaghosh mein har shai ko bikharte dekha

    jo bhi biti sar-e-farhad pe biti 'najmi'

    kisi 'parwez' ko teshe se na marte dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now